Sunday, December 12, 2010
Shri Sai Bawani
Shri Sai Bawani
|| Shri sai nathaye namo namah ||
|| Avdoot chintan shri gurudev dutta ||
Jai ishwar jai sai dyal, tu hi jagat ka palan har
Datta digambar prabhu avtar, tere bus me sab sansar
Bhrama yukt shankar avtar, sharnagat ka pranadhar
Darshan dedo prabhu mere, meeta do chorasi ere
Kafni tere ek saya, jholi kande latkaya
Neem taley tum prakat hue, fakeer bankae tum aaye
Kalyug me avtar liya, patit pavan tum ne keya
Shirdi gaon me vas keya, longo ke mann lubha liya
Chilam thi shobha haato ki, bansi jaise mohan ki
Daya bhari thi aakho me, amrit dhara baanto me
Dhannya dwarka woh mai, sama gaye jaha sai
Jal jata hai paap waha, baba ki hai dhuni jaha
Bhula bhatka me aanjan, de mujhko apna vardan
Karunasindhu prabhu mere, lakhoan baitaih dar pai tere
Agnehotri shastri ko, chamatkar tum ne dikhlaya
Jevandan shama paya, jehar saap ka utraya
Pralahe kaal ko rok liya, bhagto ka bhaye door kiya
Mahamari benam kiya, shirdipuri ko bacha liya
Pranam tumko mere ish, charano mai tere mera sheesh
Mann ki asha poori karo, bhavsagar se pakar karo
Bhakt bhimaji tha bimar, kar baitha tha soa upchar
Dhanaya sai ki pavitra udi, mita gayi uski shay vyadhi
Dhikhlaya tune vitthal roop, kakaji ko swayam swaroop
Damu ko santan diya, mann uska santusht kiya
Kripanidhi ab kripa karo, deen dyaloo daya karo
Tan mann dhan arpan karo, de do sadgati prabhu muzhko
Medha tumko na jana tha, muslim tumko mana tha
Swayam tum ban kai shivshankar, bana diya uska kinkar
Roshnai ki chirango se, tailay ke badlay pani se
Jisne dekha ankho haal, hall uska huaa behaal
Chand bhai tha uljhan me, ghode ke karan mann me
Sai ne ki aisi kirpa, ghoda phir se vehai pa saka
Shradha saburi mann me rakho, sai - sai nam rato
Poori hogi mann ki aas, kar lo sai ka nij dhyan
Jan ke khatra tatya ka, daan di apni ayoo ka
Reen bayejaka chuka diya, tum ne sai kamal kiya
Pashupakshi per teri lagan, pyar me tum thai unke magan
Sab per teri reham nazar, lete sab ki khud hi
khabar Sharan me tere jo aaya, tumne usko apnaya
Diye hai tumne gyara vachan, bhagto ke prati lekar aan
Kan- kan me tumho bhagwan, teri leela shakti mahan
Kaise karu tere gungan, budhee heen me hu nadan
Deen dayalu tum ho data, hum sab ke tum ko trata
Kripa karo ab sai mere, charno me le lo ab tere
Subha sham sai ka dhyan, sai leela ke gungan
Dereen bhagti se jo gayega, param pad ko veh payega
Har din subha aur sham ko, gaaye sai bhawni ko
Sai deinge uska saat, lekar aapne haat me haat
Anubhav tripti ke yeh bol, shabad bade hai yeh anmol
Yakeen jisne maan liya, jevan usne safal kiya
Sai shakti virat swaroop,mann mohak sai ka roop
Goar se dekho tum bhai, bolo jai sad guru sai !!
Aanth koti bhrammad nayak rajaderaaj
Yogiraj perbhram shri sachidanand sadguru
Sainath maharaj ke raj
OMSAIRAM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment